PDA

View Full Version : Muhabat ka taqaza ha



sohail
04-11-2009, 08:24 AM
Kahan ho tum chaley aao muhabbat ka taqaaza hai
Bhari duniya se ghabra ker tumhain dil ne pukara hai

Tumhari berukhi ek din humari jaan le le gi
Qasam tum ko zara socho ke dastoor-e-wafa kiya hai

Na jaane kis liye duniya ke nazren phir gaein hum say
Tumahain dekha tumhain chaha qasoor is ke siwa kiya hai

Na hai faryad honton pe na aankhon main koi aansoo
Zamane se mila jo gham isne dil ko mitaya hai

Kahan ho tum chale aao muhabbat ka taqaaza hai
Bhari duniya se ghabra ker tumhain dil ne pukara hai

TheMask
04-16-2009, 07:15 AM
boht achi ghazal hay or men nay kafi dafa suni bhi hay

ashtrio
04-16-2009, 07:39 AM
boot achee ghazal hay maray bhai