PDA

View Full Version : Kabhi Alwida na Kehtay



ashtrio
05-15-2009, 01:57 AM
Kaash hum juda na hotay....kabhi Alwida na kehtay
Chaha nahin per phir bhi para hum ko jana...


Tum hum ko yaad rakhna kabhi dil se na bhulana...
Baishak apne dil k kisi konay main basa laina


Jab tumhain humari yaad aaye tou aankhain band kar laina
Hum paas hon ya na hon humein tum apna tasaowar bana laina


Aur apni in palkon se aksh ki bondain tapka laina.
Kia hum ne socha tha aur kia hum ne paya


Kabhi hum os ko mana bhi na kar sakay
Aaj os ne hum se kia maang lia hay.


Jo na chahtay huway bhi para hum ko daina.
Kaash hum juda na hotay....kabhi Alwida na kehtay...