PDA

View Full Version : Dil ko gam-e-hayat gawara hai



ashtrio
05-12-2009, 04:41 AM
:fh


Dil ko gam-e-hayat gawara hai in dinon

pahle jo dard tha wahi chara hai in dinon



ye dil zara sa dil teri yadon mein kho gaya

zarre ko andhiyon ka sahara hai in dinon



har sail-e-ashk sahil-e-taskin hai aj kal

darya ki mauj-mauj kinara hai in dinon



shamon mein ab nahin hai wo pahle si roshni

shayad wo chand anjumanara hai in dinon



tum a sako to shab ko barha dun kuch aur bhi

apne kahe mein subah ka tara hai in dinon



qurban hon jis k husn pe sau jannaten 'Qateel'

nazaron k samne wo nazara hai in dinon