PDA

View Full Version : Mana k kuch juda sa hay



TheMask
04-22-2009, 03:33 AM
http://www.mastdunya.com/images/imported/2011/2009/04/10.jpg


Maanaa k kuch juda sa hai rishta tera mera
Maanaa k manzil shayud iska haasil nahiN
Faqt kuch hi pal haiN teray-meray
Maanaa k is mauj-e-ishq ka saahil nahiN

Teri zulfoN Kay dasht main milay Jo chaNd lamhaiN
RiNd ho jauN tab teray laboN ka ras pi kar
Aur doobaa rahuN teray mast nainoN ki waadioN main
God main teri meri jaaN ! Sir rakh kar

Uff!shiddat say ho meray aagosh main jab TU
Mil jayay un lamhoN main umr bhar ka saqooN
Teray badan ki khusbu bus jayay saaNsoN main meri
Aur har samt ho teri ulfat ka fasooN

Who teray chayray par khailtaa tabssum
Who tera meray paas hona to itraanaa
Who gaanaa tera meray liyay koi naghmaa
Who haNstay haNstay teri aaNkhoN ka dubdbaa jaanaa

Farz ki zanjeeroN main jakraa
Teray ankahay swaaloN ka bhi gunhagaar hooN main
Aur sun kar tarap jaataa hooN gehray tak
Tera kehnaa dafaatun k tera pyaar hooN main.

sohail
04-22-2009, 03:37 AM
Nice keep it up

TheMask
04-22-2009, 03:41 AM
thanks for appriciating boss

love
04-22-2009, 10:59 AM
kya kahna bahut khub

Raniya
04-22-2009, 09:05 PM
buhat achay i like the pic

ashtrio
04-24-2009, 01:19 PM
wah jeee wahhhhhhhhhhhhhh