sohail
04-18-2009, 01:58 AM
~*Chaman* ~Pak Old...
Yeh zindagi ka hay chaman
Ajab yahan ka hay chalan
Koy kisi pe tana zan
Koy kisi pe khanda zan
Kisi ko ayish ki hawas
Kisi ko gham hi raas hay
Kisi ki aarzu jawaan
Kisi ka dil udaas hay
Kise khizaan se pyar hay
Use bahar ki lagan
Gham_o_alam ki aanch se
Kabi jo dil pighal gaye
To anjuman main kahkaye bi
Aansuon main dhal gaye
Hawa_e_ gham ki aanch se
Bujh cheraag anjuman
Tarap rahi hain bijliyan
Woh jal raha hay aashiyan
Woh mitt raha hay gulsitan
Woh hans raha hay baagbaan
Woh a rahi hain aandiyaan
Yeh bahaar ka kafan
Yeh zindagi ka hay chaman
Ajab yahan ka hay chalan
Koy kisi pe tana zan
Koy kisi pe khanda zan
Kisi ko ayish ki hawas
Kisi ko gham hi raas hay
Kisi ki aarzu jawaan
Kisi ka dil udaas hay
Kise khizaan se pyar hay
Use bahar ki lagan
Gham_o_alam ki aanch se
Kabi jo dil pighal gaye
To anjuman main kahkaye bi
Aansuon main dhal gaye
Hawa_e_ gham ki aanch se
Bujh cheraag anjuman
Tarap rahi hain bijliyan
Woh jal raha hay aashiyan
Woh mitt raha hay gulsitan
Woh hans raha hay baagbaan
Woh a rahi hain aandiyaan
Yeh bahaar ka kafan