PDA

View Full Version : Marna ke duaain keo krun



sohail
04-16-2009, 09:46 AM
marnay ki duaaein kioun maangoo'n
jeenay ki tamanna koun karay
yeh duniya ho ya woh duniya
ab Khuwahish-e-duniya koun karay


jo aag lagaai thi tum nay
us ko toh bujhaya ashkon nay
jo ashkon nay bharkaai hai
us aag ko Thanda koun karay


jab kashti saabit-o-saalim thi,
sahil ki tamanna kis ko thi
ab aisi shikasta kashti mein
sahil ki tamanna koun karay


duniya nay hamein choRa aye dil,
ham choR na dein kioun duniya ko
duniya ko samajh kar baiThay hain
ab duniya duniya kaun kare

ashtrio
04-16-2009, 10:02 AM
bombastic sharing

TheMask
04-17-2009, 12:30 AM
by the way Super itni zabardast poetry kahan say dhoond nikaltay ho ??